Monday, 27 April 2026

Lootera

Paise ho, dil ho, pyaar ho
Tujhe to sirf lenaa aata hai
Khushi ho, chain ho ya sukoon
Tujhe to sirf lootna aata hai

Waise to kabhi kuch tu detaa nahin
Diyaa bhi to sirf dard aur gham
Achaa sab kuch lene mein maahir hai tu
Achaa sab kuch lutaane ke liye hain hum

Aaj bhi tujhe hamari yaad 
Apni hi zaroorat ke tehhat aayee
Apna dukhda sunaa diyaa
Hamara haal na puchaa oh re harjaaee

Kuch khaati meethi yaadein hain 
Ho sake to in ko le jaa 
Kuch tere diye toote sapne, toote waade hain
Lena hai, to yeh sab bhi le jaa

Ub to tujhe dene ko kuch bhi naa raha baaqi
Na paise, na dil… donoun huwe khaali
Lenaa hai agar, to dua letaa jaa
Na lage kabhi tujhe ek toote dil ki bad dua 

Rabia Jafar ✍🏼

No comments: