Saturday, 25 April 2026

Barish aur Khwaaish

Yeh kadakti bijli, garajte huwe baadal, 
Barish ka andeshaa, yeh garmi ka mausam, 
Khaali ho ghar, aur chhat pe
Houn sirf tum aur hum

Aasmaan ki bijli se zyaada tez 
To woh jo hai hamare darmiyaan
Yeh baadloun ki garaj se oonchi 
Hain teri meri dhadkanein

Yeh garmi mausam ki waajah se hai
Yaa hai hamari saasoun ki tapish
Yeh lamha yahin tham jaaye
Bas itni si hai khwaaish

Yeh baarish ki pehli boondh hai
Ya tu ne mujhe chhuaa?
Yeh teri ankhen hain
Ya koi gehra kuwaan

In mein jhaankun to doob jaaun main
Ya khud ko phir se paaun main
Yeh raat bhi kitni saazish mand hai
Har saans teri numaayish mein hai

Na bijli ka darr, na baarish ka gham
Iss pal mein simte hain saare alam
Yeh lamha yahin tham jaaye
Bas ho yeh pal, tum… aur hum

_Rabia Jafar ✍🏼_

No comments: