Wednesday, 1 April 2026

Bukhaar Utar Gaya Magar…

 Lagaa thaa ke tere pyaar ka bukhaar mere sir se utar gayaa
Aaj phir ehsaas hua ke abhi bhi main beemar houn
Teri haqeeqat to dekh li, teri asleeyat jaan li,
Tere ankinat shikaroun mein, main bhi to shumaar houn

Nahin chahiye yeh kasak, kis kaam ki yeh tadap
Dil aur dimagh ko baar baar samjhaata houn
Kyun teri yaad se aaj bhi mein lipta houn?
Kyun mein apne mann ko nahin bachapata houn?

Itne mushkil se sambhaala thaa jo dil ko
Phir hogaya tyaar kambakht tootne ko
Meri rooh bhi bhool gaayee tere diye zakhm
Meri nafs ne phir qabool kiya tera hurr bharam

Tu harjaaee hai, na qabil-e- maafi hai
Yaqeen aur bharose ka qaatil hai tu
Teri meethi zubaan, bholi shakl, seher-angez andaaz
Shayad in hi ki waja se insaanon mein shaamil hai tu

Naa tujh mein hai narmi, na rahim karim hai tu
Aata hai sirf lena tujhe , daata nahin hai tu
Shikari to ek baar maarte hain, phhanste hai ek baar
Tu, kamzarf to na maarta hai na jeene deta hai hurr baar

Jab tera deen imaan nahin, dil o rooh nahin
Kyun umeed karta houn mein tujh se pyaar ki, humdardi ki?
Meri takleef main tera kya kasoor? 
Tu to hai hi shuru se bedardi

Tu ne to sirf ki thi dil lagi, dil ko lagaaya hum ne
Tu ne to sirf jaal phelaya, dekh kar bhi hum phanse
Buraaee to koot koot kar tujhe main hain bhari
Phir bhi teri ankhon ki gehraaee mein hum dhanse

Tu zalim hai, farebi hai, dhokebaaz hai tu
Phir bhi kasoor mera hai, be kasoor hai tu
Tu ne jo kiya, kyun kiya, woh jaane tera Rab
Hum to aaj bhi tumhe dua’in dete hain Huzoor!
_*Rabia Jafar ✍🏼_*

No comments: