Just a light, flirty poem I wrote in 2024
Mahjabeen
Oh mere yaar
Jaane jaan dildaar
Tere Ishq main huwe hum deewaane
Kyun tu yeh baat naa maane?
Karte hain hum hur dum intezaar
Kyun hai tujh ko hurr baat se inkaar?
Maan le meri baat
Aajaa mere saath
Kahin duur zamaane se alag
Ho apni zameen, apna falak
Naa kissi ka darr, naa sharam
Naa ho kissi deen imaan ka bharam
Apni zindagi apni marzi hum jeeyein
Jaisa tu chahe, waisa hi karein
Bas tu haan to ek baar kar
Duniya kya main Khuda se bhi loun larr
Kartoun khud ko sau (100) baar qurbaan
Tu bas ek de de muskaan
Oh haseen
Mahjabeen
Oh mere yaar
Jaane jaan dildaar
Tere Ishq main huwe hum deewaane
Kyun tu yeh baat naa maane?
Rabia Jafar
19th July 2024
No comments:
Post a Comment