Wednesday, 25 March 2026

Bukhaar Utar Gayaa

 Bukhaar Utar Gayaa
5th March 2026

Barson se tere khayaalon se sapne bunti rahi…
Sadiyan guzri tere khamosh intezaar mein…
Umeed thi teri wapsi ki, teri aamad ki
Dil hi nahin, rooh bhi beemar thi tere pyaar mein

Lagta tha tu hi hai jo meri duniya ko mukammal kare
Lagta tha bin tere sab kuch hai adhuraa
Humein ye ghumaan tha ke tujhe bhi yehi hai ehsaas
Intezaar tha ke kab hum ek doosre ko karein poora

Aaj magar haqeeqat se meri rooh rubaru hui
Aaj ek lambe khwaab se main jaag uthi
Aaj teri asliyat ko tasleem kiya
Aaj mera bukhaar utar gaya

Bukhaar jo utar gaya, ek baat saamne aayi
Jis ko khuda samjha, woh to insaan bhi bas naam ka thaa

Rabia Jafar

No comments: