Hichki… hich… hichki
Aaj hum tumhe yaad aaye?
Jaane aaj kya baat hui
Kyun aaj hum tumhein yaad aaye
Hichki… hich… hichki
Lo phir hichki aayee
Kyun yeh tere naam se hi rukkti hai?
Kyun meri yaad tujhe aaj aayee?
Hichki… hich… hichki
Mujhe hi kyun sataati hai yeh hichki?
Tujhe to hum bhool naa paaye
Kya tumhe hurr waqt nahin aati hai hichki?
Hichki… hich… hichki
Arre bas bhi karo yaad karna
Ub saamne aao, milo, baat karte hain
Beete zamaane saath mil kar yaad karte hain
Hichki… hich… hichki
Aaj hum tumhe yaad aaye?
Jaane aaj kya baat hui
Kyun aaj hum tumhein yaad aaye
Rabia Jafar
17th May 2026
No comments:
Post a Comment