Tuesday, 18 October 2016

Intezaar

Teri khair ki khabar ke intezaar main
Cut gayee saari raat
Aur tu humein bhool kar
Karta raha zamaane se baat

Wahan raat dhali, din chadha, savera hua
Yahan umeed tooti, dum nikla, janaza utha

Wahan tu nikla bewaafa, ban gaya harjaayee
Yahan mar kar bhi na mili humein rehaaee

No comments: